Thursday, May 20, 2010

Sach hai mahaj sangarsh hi!

Sach hum nahin, sach tum nahin,Sach hai mahaj sangarsh hi!
Sangarsh se hat kar jiye to kya jiye ki hum ya tum,
Jo nat hua wo mrit hua jyon vrind se jarhkar kusum,
Jo lakshya bhool ruka nahin,Jo haar dekh jhukha nahin,
Jisne pranay pathey maana jeet uski hi hui,
Sach hum nahin, sach tum nahin,Sach hai mahaj sangarsh hi!

Aisa karon jisse na praanon me kahin jadta rahe,
Jo hai jaha chupchaap apne aap se ladta rahe,
Jo bhi preesthethiya mile,kaante chube kaliya khile
Haare nahi insaan, hai sandesh jeevan ka yahin,
Sach hum nahin, sach tum nahin,Sach hai mahaj sangarsh hi!

Humne racha aaon humhi abb tod se iss pyaar ko,
Ye kya milan,milna wahi jo mod de majhdaar ko,
Jo saath phoolon ke chalen,Jo dhaal paate hi dhale,
Wo jindgi bhi kya jindgi, jo sirf paani si bahi,
Sach hum nahin, sach tum nahin,Sach hai mahaj sangarsh hi!

Sansaar saara aadmi ki chaal dekh hua chakit,
Par jaakhkar dekhon drigon me hain sabhi pyaase thakit,
Jab tak bandhi hai chetna,Jab tak hridya dukh se ghana,
Tab tak na maanoonga kabhi iss raah ko hi mai sahi,
Sach hum nahin, sach tum nahin,Sach hai mahaj sangarsh hi!

Apne hridya ka satya apne aap humkon khojna,
Apne nayan ka neer apne aap humkon pochhna,
Aakaash sukh denga nahin,Dharti paseeji hai kahin,
Jisse hridya ko bal milen,Hai dhyay apna to wohi,
Sach hum nahin, sach tum nahin,Sach hai mahaj sangarsh hi!!

- Jagdish

No comments:

Post a Comment